There’s difference between being alone and being lonely or rather experiencing loneliness. When you are alone, you are comfortable in your own skin, you enjoy your own company, you don’t anyone else by your side. On the other hand, you can even feel lonely, when there are people around you, you would still be shaken to the core, the feeling of emptiness will still cease to wither away.
When you feel lonely, you just don’t need people around you. You need someone who listens to you, who understands, who doesn't judge you and who cares for you and loves you with all his heart.
- Aaj phir unki yaad aai,
Aaj phir humne puri raat karvatein lekar bitaai
Aaj phir se humne puri raat tanhai mai bitaai
Aaj phirse unki yaad aai
Aaj phirse unki safed kameez humein ek mez pe nazar aai
Aaj phirse uss kamre mai se unke itr ki khushboo aai
Humne ek aur raat unke intezaar mai bitaai
Aaj phirse unki yaad aai
2. Aaj humne ateet ke panne aise khole
Ke hum apne aaj ko bhul gaye
Hum usse yaad karne mai
Itne masruf ho gaye
Ke jo hamare saath betha tha usse bhool gaye
Hum bilkul Amrita ke tarah Sahir ki yaad mai
Itna kho gaye Ke
Imroz ko bhool gaye.
3. Tumhari aankhon ke muqable iss duniya ke har
khoobsurat manzar ki khoobsurati pheeki pad jaati hai
Kyuki tumhari aankhon ke khubsoorati ke geet
khud jannat ki apsaraain gaati hai.
Agar dilon mai apni betaabiyaan leke chal rahe ho
to zinda ho tum,
agar aaj bhi kisike chehre par muskaan la sakte ho
to zinda ho tum,
Agar tum kisise beintehaan mohabbat kar sakte ho,
to zinda ho tum,
agar aaj bhi tum sapne dekhkar unko sakaar karneki kshamta rakhte ho,
to zinda ho tum,
agar tum kisiki saari galtiyon ko maaf kar sakte ho,
to zinda ho tum,
agar tum kisiki bejaan zindagi mai jaan daal sakte ho,
to zinda ho tum,
agar tum safar ko uski manzil se bhi zyada khubsoorat bana sakte ho,
to zinda ho tum,
agar tum raah mai aanewali har mushkil ka datt ke saamna kar sakte ho,
to zinda ho tum,
agar tum iss kalyug mai satya aur ahimsa ke marg par chal sakte ho,
to amar ho tum,
Vakai mai amar ho tum.