Aakhir Kyu?

Aesha Patel
1 min readOct 15, 2019

--

Aakhir Kyu zindagi mujhse kuch aur chahti hai aur mai zindagi se kuch aur,

Zyada kasht mat karna karke mere shabdo par zyada gaur,

Samay beet jata hai aur badal jaata hai daur

Kar loge shant tum apne aas paas ka shor

Kya shant kar paoge apne andar ka Shor?

Kahi sawaal aaye mere zehn mai jisne sirf badhaya mere mann ka Shor,

Pata hi na chala kab sab kuch bhikhar gaya aur chut gai khushiyon ki dor,

Meri namkamyabeeyan le gai mujhe gum aur dard ke raste ki aur,

Jahan thay akelapan aur tanhai,

Us raste pe mai apne aap ko sambhal bhi na paai,

Shayad isliye hi jhelni padi mujhe zamane ki berukhi aur ruswai,

Aakhir Kyu apne andar ke shor ko shant na kar pai?

Kyu main un sawaalo ka jawaab na dhoondh pai?

Aakhir mai kyu apneaap ko sambhal na paai?

Sawaal kai sare thay, ab jawaab dhoondhne ki zaroorat hai,

Apni khushiyon ki dor ko mazboot karna hi ab mera maksad hai,

Shayad koshish karte karte, mai apni manzil tak pahoch jaun,

Aur wahi pe apna ek chota sa khushnuma jahaan banau,

Tanhai, ruswai aur akelepan se koso door,

Apni ek nai Zindagi basaun

Aur in saare sawaalon ka jawaab dhoondh paun.

--

--