Ab aur na kar yeah tamasha

Aesha Patel
1 min readDec 30, 2019

--

Ab na maar apni Zindagi ko tamacha

Bata de kaun hai tu aur khatam karde yeh tamasha(2)

Door karde apne mata-pita ki nirasha

Bata de kaun hai tu aur khatam karde yeh tamasha(2)

Tod de un saari zanjeeron ko jisme jhakda hai tu

Tod de un bandeeshon ko jisne marodke rakh diye tere sapne

Sochkar ke log kya kahenge ,

mat hone de apne sapno ko shaheed,

Kyuki bulandiyon ko chune ke baad,

Yeh log ban jayenge tere mureed,

Galat chehre dikhane waala todde har aine ko

Rakh hosala, kar mehnat,

Aur badal apni zindagi ke maine ko(2)

Ab aur na maar apni Zindagi ko tamacha

Bata de kaun hai tu aur khatam karde yeah tamasha(2)

--

--