Ek muslim ladki aur Hindu ladke ki kahaani
Kuch dino se mere zehen mai ek kahani panap rahi thi
Jisme ek Muslim ladki ko ho jaata hai ek Hindu ladke se pyaar
Par karne se darta hai woh apne pyaar ka izhaar
Kyuki unke beech mai hoti hai mazhab ki deewaar
Ek din usko ek khat mila jisme likha tha ke woh ladki kar rahi thi uss ladke ka intezaar
ke kab karega woh apne pyaar ka izhaar
kyuki us ladki ko bhi tha us ladke se pyaar
jab ufaan chadha unka pyaar
Tab ladki ne tay kiya ke ab na hoga usse intezaar
Kar liya usne faisla batane ka apne abba aur ammi ke woh karti hai ek Hindu ladke se pyaar,
Abba ne phir bola ke agar woh uss ladke ki baat karegi to uske liye bandh kar diye jayenge ghar ke dwaar
Jab Ladke ne apne ghar pe bataya ke karta hai woh ek Muslim ladki se pyaar,
Kuch aisa hi haal uska bhi hua, bole uske mata-pita
Agar us ladki ka zikr woh waapis karega to kar denge woh uska tiraskar,
Par Jab ufaan chadha unka pyaar
Jab na hui unse bardasht dooriyaan ,
Tab unhone tai kia ke dono milkar laang denge Mazhab ki dewaar,
Isliye donone bhaagne ka faisla liya
par gaon ke sarpanch ne unko pakad liya
aur unko maut ghat utaar diya,
Uss din ladki ke sharir ko kar diya gaya dafan aur ladke ka hua antim sanskar,
Aur Aag mai jalkar aur mitti me daffan hokar khatam ho gaya dono ka pyaar,
Issi ke saath khatam hui meri kahani,
Aur adhoora reh gaya dono ka pyaar.