Ek shayar ki kalam se-2.

Aesha Patel
1 min readOct 17, 2021

--

Filmon mai dikhaya jaata hai ke sacchi mohabbat mai dard nai hota

Par tumhare jaane ke baad mujhe dard hua,

Tab mere zehen mai ek sawaal aaya

Hamare darmiyaan jo thi woh kya mohabbat nai thi?

ya kya phir filmon mai dikhai mohabaat mai haqeeqat nahi thi?

Waqt ne kia kya haseen sitam,

Apne hi dard ko Lafzon mai simatkar panno par utaar gaye hum

Apne hi afsane likhkar shayar ban gaye hum.

(Please don’t get offended)

Kya ek saath nahi reh sakte Hindu aur Musalman?

Kya insaaniyat ka dhaga nahi jod sakta yeah duniya tamaam?

Kya tab khush nai rahegi Hindustan ki awaam?

Kya tab bandh nahi ho jayenge Dharma ke naam pe chal rahe qatl-e-aam?

Jab Sajde mai sar jukta hai tab na dekha kijiye ke woh Allah hai ya Ram

Sandesh to ek hi dete hai bas alag hai inke naam,

Diwali mai Ali aate hai aur Ramzan mai Ram,

Insaaniyat ke dhaage ko jodkar tumhein nayi dikhengi har subah aur shaam,

Aur tab insaano ke dilo mai ek ho jayenge Allah aur Ram

Tab insaano ke dilon mai ek ho jayenge Allah aur Ram.

(Please don’t get offended)

--

--

No responses yet