Jallianwala Bagh
13 April Ka woh din tha jab General O’ Dwyer ne hazaro logo ko maar giraya tha,
Usne nihate insano par goliyaan chalakar, insaaniyat par kalank lagaya tha,
Usiki ko goliyon ne jallianwala bagh ko khoon se bhigaya tha,
Us narsanhar ne insaniyat ko sharam se jhukaya tha,
Jis haadse ne pure des ko rulaaya tha,
JIss hadse ne puri insaniyat ko sharam se jhukaya tha,
Jiss hadse ne Hindustaan ke seene pe daag lagaya tha,
JIss hadse ke karan saikdo logone apni maut ko gale lagaya tha,
Yeah wahi hadsa hai jisne saikdo maaon ki kok ko ujada tha,
Yeah wahi hadsa hai jisne saikdo ke gharo ko tabah kar dala tha,
Yeah wahi hadsa hai jiske baad Bhagat Singh, Ashfaqullah Khan, Azad, Ram Prasad Bismil ne bhi desh ko angrezo se azaad karneka zimma uthaya tha,
Unme se ek Uddham Singh bhi thay jinhone, O’ Dwyer ko maarne ka man banaya tha,
Inhone British sarkar is narsanhar ka badla lene ka man banaya tha,
Inhone Lala Lajpat Rai ko apna guru banaya tha,
In Naujawan Krantikariyon ne Inquilab Zindabad ka Naara pure desh ko sunaya tha,
Issi khooni narsanhar ke badle ka zimma har hindustani ne uthaya tha,
Pure desh mai azaadi ke jazbe ko jagaya tha,
Yeah wahi hadsa hai jisne Insaniyat ko sharam se jhukaya tha,
Yeah wahi hadsa hai jisne hindustaan ke seene pe daag lagaya tha,
Hindustan ke seene par aaj bhi woh daag hai,
Aur woh daag jallianwala bagh hai
s jallianwala bagh hai.
Jai Hind!