Nakamyabeeyaan, Galtiyaan, Sawaal aur unke Jawaab.

Aesha Patel
1 min readOct 7, 2019

--

Aisa lag Raha hai ki Zindagi mai sab Kuch khatam ho raha hai

Kyuki khush rehna ek bhram sa ban gaya hai,

Khwaab jo Maine barson pehle dekhe thay woh mehez adhoore khwab banke rahe gaye,

Woh sirf chand lafzon ke mohtaj banke rahe gaye,

Kehni thi kuch baatein kisiko,

Par afsos dil ki woh baatein mere hi man mai goonjti hui awaaz banke reh gai,

Meri chuppi meri awaaz ko chupane ke liye odha hua libas banke rahe gai,

Sochti hoon ke usse kuch na kahoon,

Bas sab kuch chodke kahi door chali jaun,

Ek nai jagah jakar apna naya jahaan basau,

Par phir sochti hoon ke kya cheezon se bhagna galat nahi?

Kya itni jaldi har maan lena Kayarta ki nishaani nahi?

Socha ek din itmeenan se bethkar vichar karoon,

Jab socha to pata chala ke kuch cheezein aisi thi jinko beech rah pe chodkar aagey badhna hi thik tha,

Kyuki khush rehne ka bas wahi ek trick tha,

Socha ke bina kuch soche samje agar mai un adhoore khwabon ko pura karne mai lag Jaun,

To kya pata ke mai apni zindagi ko phir se sawaar paoon,

Issi tarah se main apni nai zindagi naye sirre se shuru kar paoon,

Kya pata koshish karte karte apni saari khushiyaan main wapas le aaun,

Aur phir meri mayoosi bhari zindagi ka ant kar paoon.

Shayad kuch issi tarah se mai ek nai shuruaat kar paoon.

--

--

No responses yet