Sirf ek guftagoo-2

Aesha Patel
5 min readSep 27, 2021

--

(Do dost jo ek doosre bahot saalon se jaante hai woh ek arse baad ek saath bethkar guftagoo kar rahe hai)

Alisha: Yaar Meer, sun maine kal ek sapna dekha tha, jisne meri neend udadi.

Meer: Aisa kya dekh liya tune? bhoot voot dikha kya?

Alisha: Are…nai yaar. Bhoot nai dikha. Mere sapne mai mujhe hum dono ek doosre ko chodke jaa rahe thay woh dikha. Obviously apne career choices ke wajah se. Par mujhe tumse door nai jaana. Mai chahti tum hamesha mere paas raho. The fact that we will not able to have those meaningful conversations anymore breaks my heart. The fact that we won’t be able to meet each other often breaks my heart.

Meer: Yaaaaar Alishaaaa tum writers ki yeah problem hai, aisa likhte ho ki accha bhala insaan senti ho jaata hai. Anyways, hamara hamesha saath rehna mumkin nahi hai. Aaj nai to kal humein alag hona padega. Tum kisi aur sheher mai aur mai kisi aur. Par dekh, abhi itna sara mat soch. Jab hoga tab dekh lenge. Senti kar dia yaar tune. Yaar chad in sab baton ko, kuch aur bata..kuch interesting ya phir kuch random.

Alisha: Are meri tareef kare rahe ho ya toheen. Accha ji waise to bahot irritate hote ho meri random baatein sunkar, aaj achanak se mann kia random cheezein sunneka. Kamal hai. Thik hai. Mujhe ek incident yaad hai tum log kisi racer ki baat kar rahe thay, right? Kimi aisa kuch naam tha. To I said ke mujhe sirf do hi Kim ke baare mai pata hai- Kim-Jong-Un and Kim Kardashian. That was kaafi random. I still remember your reaction.

Meer: (While looking into her eyes) :Teko pata hai yeah cheezein kabhi irritate karti hai, par kabhi aisa lagta hai ke yaar, world needs people like you, who just quote random stuff. Maza aata hai kabhi kabhi. World needs pure souls like you, sirf isliye nai ke tum random cheezein bolti ho par, in general tum bahot acchi ho. But world needs more people like you. Ha tum kabhi kabhi bahot stupid cheezein karti ho. Par thik hai.

Alisha: Aree…rulayega kya? Nai yaar I think mai waise bhi tumhein aur baaki sab ko bahot pareshan karti hoon. To thik hai. Mere jaise logon ka pata nahi. But duniya ko pure souls ki zaroorat hai. I agree.

Accha meko yeah bata tu mere birthday ke din jab sab baat kar rahe thay tab kaha tha? chala kyu gaya tha?

Meer: Yaar..thoda soch khud pata chal jayega. Soch soch.

Alisha: Thik hai. Mujhe sochne de. Ohhhh I get it. I understand. I have been through this. Mujhe woh lines yaad aa gai. Itmeenan se sunenge.

Meer: Thik hai, tum jo bhi sunaogi mai sunne ko taiyaar hoon. Accha mujhe ek baat bata, aaj kya baat hai abhi tak koi reference nai aaya, kya hua?

Alisha: Are yaar pata nai. Koi reference nai. Ha kuch lines hai jo mere dimaag mai ghar kar gai hai. Pata nai kyu, but bas yeah hi lines hai. Sunaun kya?

Meer: Thik hai yaar, suna de.

Alisha: Jab pyaar mai pyaar na ho,

Jab dard mai yaar na ho,

Jab aasoon mai muskaan na ho,

Jab lafzon mai zubaan na ho,

Jab waqt yuhi kate,

Jab har din mai raat dhale,

Kyu hoon mai humraahi,

Jab woh hai kisi aur ki manzil,

Dhadkanno ne saath chod dia

Ae dil hai mushkil(2)

(Reference: Ae dil hai mushkil)

Ufff….

Meer: Yeah hi lines kyu? Do you want to share something? Kuch hai jo mujhe nai pata. Tujhe jitna waqt chahiye lele, par bata kya hua?

Alisha: Nai, kuch nai hai. kuch nai hua mujhe. Just aise hi mujhe yeah shayari bahot pasand aai. Yeah shayari ke alfaz dil ko chu jaate hai. Aur Ranbir ke awaaz ke saath to, haaye! aur behetareen lagti hai.

Meer: Accha ji koi baat nai. Par, tune senti kar dia yaar. Tum writers bhi na yaar. Aur tumhare pasandida kirdar. Tum woh sab kirdaar kyu pasand hai?

Alisha: Mere liye woh mehez kirdar nai hai. Usse badhkar hai, woh meri kahaniyaan aur kavitaon ka hissa hai. Woh mera hissa hai.

Meer: Alishaa yaar..kya kahoon? Lafz kam pad jaate hai.

Alisha: Are Meer, Mai samaj gai. Kabhi kabhi hum bina kuch bole hi bahot kuch bayaan kar jaate hai . Are yaar, ghum phirke hum koi serious topic pe aa jaate hai. Let’s change the topic. Baad mai ispe mast discussion karenge. Aaj nai yaar. Kuch aur baat karte hai.

Meer: Thik hai. Jaisa tum kaho.

Alisha: Uss din ka khanaaa wahhhh yaar. You missed it. It was CO for me.(you know what I mean) behad lazeez. That day’s food.. aaye haaye. Maza aa gaya tha.

Meer: Bas kar yaar. Tumhein pata hai mai kaisa hoon. Mujhe bhi accha laga tha apna khana, and thik hai yaar. Maine jo mangwaya tha woh bhi accha hi tha. Aur mai tumhari tarah nai hoon.

Alisha: Ha, yaar. woh to hai. Hum log kaaaaafi different hai. Tum Einstein, to mai Vinci. Are I forgot Einstein was a musician as well. Aree dhat. Mai Vinci(waise utni aukat nai hai meri, still) tum Ramanujan.

Meer: Kar di na phir wahi baat. Bolna zaroori tha.

Alisha: Sach hi to hai yaar.

Meer: Har ek insaan ki individuality hoti hai. You don’t have to draw parallels all the time. Woh Vinci, to tum bhi Alisha ho yaar.

Alisha: Samaj gai. Mai samaj gai.Yaar maine kuch likha hai, sunoge?

Meer: Kab likha? Meko sunaya kyu nai?

Alisha: Are Are Meer, abhi likha. Maine kuch likha aur tumhein na pata ho, aisa jahan tak mujhe pata hai kabhi nai hua.

Meer: Ha, right. Ha, aisa kabhi nai hua. Are suna yaar.

Alisha: Tum na hote to hum hum na hote,

Kyuki tum na hote

Shayad meri zindagi mai zyada gam hote,

Zamane se hame zyada shikwe hote,

Agar Tum na hote to hum hum na hote.

Meer: Mashallah! Tum yaar, haaye! Mai impressed bhi hoon aur senti bhi. Kaise kar leti ho tum aisa? Kaise? You are damnnn good. Accha, issi baat par ek wada karo mere se, chahe kuch bhi ho jaaye, you won’t stop writing- dialogues ho, poetry ho, blog ho, post ho, kuch bhi kyu na ho likhna. Bas likhna. Chand lines bhi chalegi. Par tumhara yeah sab chod dena, nahi chalega.

Alisha: Haaye, itni tareef! Accha ji. Mai wada karti hoon jab tak zinda hoon tab tak likhungi. Meri kalam tab tak chalegi, jab tak meri saansein chalegi.

Meer: Mashallah! isme bhi shayari kya baat hai. Aaj bahot dino baad baat ki tumse. As always bahot accha laga. Par ab jaana padega. Kal dono ko job pe jaana hai.

Alisha: Ha phir jaldi milenge. Tum na hote to hum hum na hote.

Meer: Inshallah, tum aise hi likhti raho aur mujhe sunati raho.

Alisha: Good night. Hoping to see you soon.

Meer: Good night. I hope as well.

(Work of fiction)

--

--