Sirf ek Guftagoo-1
(Context: Film jab khatam hone ke kagar par hoti hai, tab heer maut ki shaiya par hoti hai, aur Jordan concert mai perform kar raha hota hai. Heer ant mai mar jaati hai. Jordan ka dil toot jata hai. Usse perform karte waqt heer nazar (sirf usse dikhai padti hai, kyuki asal mai to heer mar chuki hai)aati hai aur tab unke darmiyan yeah guftagoo hoti hai).
Heer: Jordan, tum mujhe Milne aaoge?
Jordan: Heer, ab tum ek alag duniya ka hissa ho. Mai tumhein milne nai aa sakta.
Heer: Kyu nahi? Tum aa sakte to abhi bhi.
Jordan: Mai bhi wahi chahta hoon, par hamara milna mumkin nahi. Mai bhi sirf tumhare saath rehna chahta hoon. Jab tumse pehli dafa mulaqat hui thi to sirf mashoor banne ke khwaab dekh raha tha. Par tumhare saath waqt guzarne ke baad mai sirf tumhare saath rehna chahta tha.
Par waqt aur halat aise thay ke hum juda hogaye. Mera mashoor banne ka khwaab mukammal hua par tumhari namaujudgi mai. Mai Mashoor hokar bhi tanha hogaya.
Phir mulaqatein hui tumse par afsos woh bhi sirf hamesha hamesha bichadne ke liye. Kash jiss duniya mai mile thay ussi duniya mai hum hamesha ke liye saath reh sakte.
Heer: Jordan, hamari mohabbat ab tumhare jahaan mai mukammal nahi ho sakti. To uska zikr karke koi fayda nahi.
Agar tum mujhe milna chahte ho apne dil ko sambhal kar rakhna. Kyuki mera basera wahi par hai. Mai tumhari duniya se bhale hi koso door hoon. Par tumhare saath mai hamesha rahungi.
Heer: Jordan, ab bolo mujhe milne aaoge?
Jordan: Zaroor aaunga. Mai apne dil ki hifazat karunga. Mai har pal har ghadi isliye hi zinda rahunga taki tumhein mil sakun.