Sirf ek guftagoo-4

Aesha Patel
3 min readDec 27, 2021

--

Veer: Zaara, kaisi ho tum? Sab khairiyat? 22 saal baad dekh raha hoon tumhein. Aaj bhi waisi hi dikhti ho tum. Itne saal ho Gaye, par tum bilkul nahi badli. Ha, baal thode safed ho gaye hai. Baaki aaj bhi utni hi khubsoorat lagti ho jitni, 22 saal pehle lagti thi.

Zaara: Nai jee nai. Umar nahi hui meri. Mai to abhi bhi jawaan hoon. Umar to tumhari ho gai hai, Veer. Khair woh sab choddo. Ek sawaal puchna tha tumse. Inn 22 saalon mai tumhein ek baar bhi aisa khyaal aaya ke aadalat mai mera ya mere khaandaan ka zikr karu aur iss qaidkhane se rihaa ho Jaun? Ya mujhe katghare mai la kar, gawahi dilwaun?

Veer: Nahi. Kabhi nai. Mai aisa sapne mai bhi nai socha tha. Mai apni khushiyon ke liye tumhari zindagi ki qurbaani kabhi na deta. Mai marte dam tak tumhari aur tumhare khandaan ki izzat ki hifazat karta. Mujhe to aisa lagta tha ke tum Raza ke saath apni zindagi guzaar rahi hogi. Agar mai tumhara zikr bhi karta adaalat mai to raza tumhein talaakh de deta aur tumhari zindagi barbaad ho jaati. Mai aisa kuch bhi nahi karna ya bolna chahta tha, jisse tum par aur tumhare khandaan ki izzat par aanch aaye.

Zaara: Itni mohabbat karte ho mujhse? Apni naukri chhod di, apna mulk chod dia aur 22 sal hawalat me kaatein taaki mai chain se ji sakoon. Allah! Mai soch bhi nai sakti tumne 22 saal kaise kaatein honge.

Veer: Par tumne bhi to ek paraye mulk mai rahi , apno se door, sirf isliye ki mere bauji ka khwaab pura ho sake. Tumne bhi to apne sapno ki qurbaani di, taaki mere aur mere bauji ke sapne sakaar ho sake. Kya itni mohabbat karti ho mujhse? Ke mere liye apna mulk chod diya, apne sapne chod diye, Raza se apni shaadi tod di.

Zaara: Tumne hi to mujhe mohabbat ka asli matlab sikhaya tha. Mujhe aaj bhi yaad hai woh din, jab mai apni bebe ki astiyaan bahane, shayad pehli baar hindustan aai thi. Tumne aur bauji aur maati ne mujhe itni mohabbat se apne ghar mai rakha tha, meri itni acchi khatardaari ki thi ki, mujhe uske baad tumhara mulk kabhi paraya nai laga tha. Isliye itne saal aisa laga ke maine apno seva ki hai, apne hi bauji ka sapna pura kia hai.

Mujhe aaj bhi yaad woh din jab tumne mujhe kaha tha ke sarhad par aisa ek shaks hai jo tumhare liye jaan bhi de sakta hai. Mujhe tumse milne se pehle lagta ke aisi mohabbat jisme ek ladka ya ladki apni mohabbat ki hifazat karneke liye apne jaan ki qurbaani dede, sirf Kitaabon aur shayarion mai hi hoti hai. Par tumse mohabbat karke jaana, ke aisi mohabbat haqeeqat mai bhi hoti hai.

Veer: Mujhe mohabbat ke asli maine nai pata. Mai bas itna janta hoon ke aaj bhi, agar tumhari hifazat ke liye mujhe maut ko gale lagana pade ya aur 22 saal hawalat mai guzarne pade, mai khushi khushi guzarne ko taiyaar hoon. Agar isse mohabbat kehte hai to mohabbat hi sahi.

Zaara: Veer, tum khuda ka farishta, insaniyat ke misaal ho. Agar mohabbat ka koi chehra hota to hobahoo tumhari tarah hi dikhta.

(Veer-Zaara ki guftagoo ke darmiyaan, Samiya aati hai aur Veer aur Zaara ko bulaati hai adaalat ki agli pesh-kash ke liye. Zaara ko katghare mai bulaya jaata hai. Woh apna bayaan deti hai aur Veer ko rihaai mil jaati hai.)

Samiya: Aaj Veer 22 saal baad apne watan Hindustan jayenge aur Zaara 22 saal baad Veer ki dulhan banegi. Aaj mai apne abu ke qabr par phool chada sakungi.

Veer: Samiya, tum meri aur Zaara ki zindagi mai firashta banke aai ho. Agar tum na hoti to shayad mujhe puri zindagi hawalat mai katni padti. Mujhe nai maloom mai tumhara shukriya ada kaise karu? Ek waqt tha jab aisa lagta tha ke Veer aur Zaara ka naam ab kabhi saath mai nahi lia jayega. Unki prem kahani kahi dafan ho gai hai. Aaj tumhari wajah se Veer aur Zaara ka naam hamesha saath mai lia jayega.

Samiya: Apne jo qurbaani, uske muqable jo maine kia hai woh kuch bhi nahi. Khair mai allah se dua karungi ke tum dono ki jodi salamat rakhe. Khuda hafiz.

Veer: Khuda Haafiz, Samiya.

Zaara: Khuda Haafiz!

(Veer aur Zaara iss guftagoo ke baad, Hindustan chale jaate hai. Aur apne khushal zindgai saath mai kaatte hai)

--

--