Tiranga

Aesha Patel
1 min readJan 26, 2020

--

Mai teen rango mai ranga hoon

Mai Hindustan ki har jeet ke waqt lehraya Vijay patanga hoon

Mai shaurya, shanti aur ekta ka prateek hoon,

Mai Hindustan ke har jashn aur shok mai hua shareek hoon,

Mai har uss jawan ke saath hua hoon shaheed jisne desh ke hifazat ke liye gawaai thi apni jaan,

Mai woh patanga hoon jispe tikka hua hai desh ka swabhimaan

Par na jaane kyu aaye din bharat tere tukde honge ke naare lagakar kia jaata hai mera apmaan?

Aakhir aisi konsi wajah thi ke har saal svatantrata divas aur gantantra divas ke baad chod diya jaata tha mujhe besahara?

Kya tumhein moodke dekhna bhi na laga gjawaara?

Mai hua hoon har jashn, har shok mai shareek

Mai hi hoon shaurya, shanti aur ekta ka prateek

Mai hoon desh ke har jeet par lahraya Vijay Patanga,

Mai hoon Tiranga,

Ha Mai hi hoon Tiranga.

Jai Hind!

--

--

No responses yet