TO TARA,

Aesha Patel
2 min readApr 1, 2022

--

Tara, Tum ho to main hoon.

Tum nahi to mai nai.

Aaj mai jo kuch bhi hoon, sirf tumhari badaulat hoon. Tumse milne se pehle mai ek jhooth ke saath jee raha tha, mai ek naqaab pehenke ghum raha tha. Main 8 saal se(shayad usse bhi zyada) ek aisi zindagi jee raha tha, jismein mai ek set pattern pe chalta tha, 8 baje uthna, taiyaar hona, office jana, kaam karna and shaam ko waapas ghar laut jaana.

Tumse milkar, mai khudse mila. Agar tumne uss din mujhe na bataya hota ke mai special hoon, to shayad aaj bhi mai woh naqaab lagaake ghoom raha hota. Tum na hoti to aaj bhi mai uss company ka product manager hota. Hum sirf kuch dino ke liye ya mahino ke liye saath mai thay, par tum mujhe itna jaan gai, jitna mai apneaapko itne saalon mai na jaan paaya. Ek tum hi thi(aur aaj bhi ho) jisse lagta tha ke mai koi aur hoon. Mai woh nahi tha zamane ke saamne pesh aata tha. Mai to woh tha jo sirf tumhari nazaron ko nazar aata tha.

Agar tum na hoti, to mai apneaap se kabhi na mil paata. Mai ussi jhooth ke saath mar jaata. Agar tumne mujhe yeah ehsaas nai dilaya hota ke mai special hoon, to main woh saanpko (Bachpan, as in childhood) apne pairon tale aur zyada kuchal deta aur shayad usse maar deta. Tumhare karan woh saanp saans le paaya, tumhare karan woh zinda reh paaya, Tumhare karan mai khudse mil paya, Tumhare karan mai zinda reh paaya. Aur tumhare karan mai ek kathakar ban paya. Tara, mai zindagi bhar tumhara karzdaar rahoonga. Mai tumhara shukraguzaar rahunga.

-Ek ved ki taraf se uss tara ke liye jisne uski zindagi badal di.

--

--

No responses yet