Qaidi no. 786 Ke Mohabbat Ki Dastaan

Aesha Patel
1 min readApr 4, 2021

--

Door se Dekha to usmein Qaidi no. 786 Nazar aaya tha,

Paas jaake dekha to uski aankhon mai dard ke sailab ko simta hua paaya tha,

Jab Guftagoo karne ki koshish ki tab uski khamoshi se uski majboori ka andaaza aaya tha,

Bahot Koshish ki jaanne ke par usne kuch na bataya tha,

Bahot mehnat-mushaqat ke baad maine uski razamandi ko paaya tha,

Aur tab jaake usne apna qissa sunaya tha,

Uska qissa sunkar maine mohabbat ke sahi maino ko jana tha,

Tab maine apna sar uske sajde mai jhukaya tha,

Uss qisse ne Qaidi no 786 ka naqab hataya tha,

Uss qisse ne mujhe Veer Pratap Singh aur Zara Hayat Khan se rubaru karaya tha,

Tab maine bhi (bilkul Samya ki tarah) Veer aur Zaara ko ek mukamal jahan dene ka mann banayaa tha,

Jab bahot jadojehad ke baad Samya ne unko milwaya tha,

Tab mera dil bhar haya tha,

Kyuki uss waqt 22 sal ke intezaar ka ant nazar aaya tha

Uss waqt Veer-Zaara ki jeet aur mohabbat ka parcham lehraya tha,

Aur Veer-Zaara ko apna mukammal jahan mil paya tha,

Aakhirkar Veer-Zaara ko apna mukamal jahan mil paya tha.

--

--