Tu kisi rail si guzarti hai.
Jul 24, 2021
Tu kisi rail si guzarti hai,
Mai kisi pool sa thartharata hoon,
Tu Ghalib ki gazalein sunati hai,
Aur mai tere sarhane par sar rakh kar un ghazalon ko sunta hoon,
Tu apne khalayon ke un se khwabon ko bunti hai,
Mai tumhare khwabon ko mukammal karne ke liye khuda se mannat mangta hoon,
Tu azaad parinda banke aasmaan me udti hai,
Aur mai tumhari hosla afzai karta hoon,
Tu bulandiyon ko choone ke khwaab dekhti hai,
Aur mai tumhare har khwaab ke mukammal hone par fakr mehsoos karta hoon,
Tu Ghalib ki ghazalein sunati hai,
Aur mai tere sarhane par sar rakh kar un ghazalon ko sunta hoon,
Tu kisi rail si guzarti hai,
Mai kisi pool sa thartharata hoon.