Tu Koi Aur Hai

Aesha Patel
Jul 25, 2021

--

Tu asal mai woh nahi jo duniya ko dikhata firta hai,

Tu to asal mai woh hai jo sirf Tara ki nazron ko nazar aata hai,

Tu woh nahi jo zamane ke saamne jukh jaaye,

Tu woh hai jo saare se zaamane se ladkar

Dil aur dimaag ke pare ek naya jahaan banaye,

Tu woh nahi jo chaar diwaari mai bethkar logo se guftagoo karta hai,

Tu woh hai jo parvaton se baatein karta hai,

Aur nadi se paani peete waqt bulbulein banata hai,

Tu woh nahi jo sirf mukammal manzil paana chahta hai,

Tu woh hai jo safar ko manzil se zyaada khubsoorat banata hai,

Tu asal mai woh nahi jo duniya ko dikhata firta hai,

Tu to asal mai woh hai jo sirf Tara ki nazron ko nazaar aata hai.

--

--