TumVed Ho

Aesha Patel
Aug 9, 2021

--

Tum Ved Ho,

Jisse hai apni Tara ki talaash,

Tumhari zindagi mai zamane ke zulm-o-sitam ne kaher barsaya,

Aur kar dia tumhein hataash,

Zamane ne lagai hui pabandiyon mai qaid ho gaye tum,

Aur tumhari dil ki awaaz hogai kahi gum,

Azaad hone ki koshish ki tumne,

Par har baar zamane ki saamne apne ghootne tekte rahe tum,

Duniya ki jihuzoori karte karte apna wajood kho chuke thay tum,

Zamane ki suapi hui zimmedariyon ke bhoj ne tumhare sapno ko kuchal dia,

Aur phir dil aur dimaag ke beech mai cheedi hui jang ne tumhari zindagi ka tamasha bana dia

Iss jung ne, tumhari zindagi se chain-o-sukoon ko mita dia,

Tumhari zindagi ka tamasha bana dia

Kuch issi tarah tumhari zindagi mai zamane ne kaher barsaya

Aur kar dia tumhein hataash,

Aur issi karan se karne lage tum Tara ki talaash.

--

--