Zinda ho tum

Aesha Patel
Dec 30, 2021

--

Agar dilon mai apni betaabiyaan leke chal rahe ho

to zinda ho tum,

agar aaj bhi kisike chehre par muskaan la sakte ho

to zinda ho tum,

Agar tum kisise beintehaan mohabbat kar sakte ho,

to zinda ho tum,

agar aaj bhi tum sapne dekhkar unko sakaar karneki kshamta rakhte ho,

to zinda ho tum,

agar tum kisiki saari galtiyon ko maaf kar sakte ho,

to zinda ho tum,

agar tum kisiki bejaan zindagi mai jaan daal sakte ho,

to zinda ho tum,

agar tum safar ko uski manzil se bhi zyada khubsoorat bana sakte ho,

to zinda ho tum,

agar tum raah mai aanewali har mushkil ka datt ke saamna kar sakte ho,

to zinda ho tum,

agar tum iss kalyug mai satya aur ahimsa ke marg par chal sakte ho,

to amar ho tum,

Vakai mai amar ho tum.

--

--